Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Ubaydullah Aherar

Rahmatullah Alayh

 

Aap ki wiladat mah Ramadaan al mubarak 806 Hijri mein Hazrat Khwaja Mehmood bin Khwaja Shahab al Deen Rahmatullah Alayh ke ghar Tashqnd ke qareebBaghistan  mein hui. Aap ka ism shareef Abaidullah Rahmatullah Alayh , laqab Nasir al Deen aur Aherar hai, ziyada mashhoor laqab Aherar hai .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Aap ka ahle  khanah aik taraf  to ameer kabeer sahib doulat o sarwat tha to doosri taraf  ahle zikar sahib e faiz o kamaal. Aap ke jadd amjad Hazrat Shahab al Deen Rahmatullah Alayh ne jab aakhri waqt mein ’alwidah’ kehnay ke liye apne poton ko bulaya to qareeb anay par kam sun Hazrat Abaidullah Rahmatullah Alayh ke istaqbaal ke liye kharray ho gaye aur phir goad mein leker farmaya is farzand ke baray mein mujhe shahadat Nabwi Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam mili hai kay yeh paeer alamgir hoga aur is se shariat o tareqat ko ronaqe haasil hogi .

Yahi wajah hai kay bachpan hi se aap ko buzurgon ki ziyarat o mulaqaat ka shoq zouq raha. Bohat se buzurgaan e deen ke mazaraat par haazri di aur faiz haasil kya. Chunancha 22 se 29 baras ke umar tak aap safar mein rahay. Aik martaba aap Haraat mein thay kay aik sodagar ne aap se Hazrat Khwaja Muhammad Yaqoob Charkhi Rahmatullah Alayh ke faiz pur asar ki tareef  ki to isi waqt Balakh ke rastay mulaqaat ke liye rawana hue. Jatay hue un ke murshid pak Khwaja Alau Din Attaar Rahmatullah Alayh ke mazaar ki ziyarat ki .

Jab Hazrat Khwaja Yaqoob Charkhi Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue. Hazrat Aherar Rahmatullah Alayh ne khud apni is mulaqaat ka is terhan zikar farmaya. Farmatay hain kehte hain kay jab mein ne Haraat  ke aik sodaghar se Hazrat Khwaja Yaqoob Charkhi Rahmatullah Alayh  ke fazail sunay to foran un se milnay ke liye Charkh jane ke liye rawana howa. Jab mein un ki khidmat mein haazir huwa tu asp Rahmatullah Alayh bari lutaf  o kuhrm se paish aye Khwaja Naqshband Rahmatullah Alayh  se apni mulaqaat ka haal  bayan farma kar meri taraf apna haath badhaya kaha kay baet kar. Kyunkay un ki peshani mubarak par kuch safaid y  mushaba Bars thi jo tabiyat ki nafrat ka mojab hoti hai. Is liye meri tabiyat un ka haath pakarney ki taraf mail nah hui. Woh meri karahat ko samajh gaye aur jaldi apna haath hata lya aur soorat tabdeel karkay aisay khobsorat aur shandaar libaas mein zahir hue kay mein beikhtiyaar ho gaya qareeb tha kay mein be khud ho kar aap se lapat jaoon aap ne doosri dafaa apna dast mubarak badhaya aur farmaya kay Hazrat Khwaja Naqshband Rahmatullah Alayh ne mera haath pakar kar farmaya tha kay tera haath humhara haath hai jis ne tumhara haath pakra is ne humhara haath pakra. Hazrat Khwaja Naqshband ka haath pakar lo. Mein ne bilaa tawaquf un ka haath pakar liya .

Hazrat Yaqoob Charkhi Rahmatullah Alayhne aap ki rohani tarbiyat farmai aur jald hi khilafat o ijazat se sarfraz . Hazrat Molana Abdul Rehman Jami Rahmatullah Alayhjo aap ke khulfa mein se hain aksar farmaya karte thay kay Hazrat Khwaja Yaqoob Charkhi Rahmatullah Alayh farmatay thay kay jo taalib kisi buzurag ki sohbat mein jana chahay to usay Abaidullah Rahmatullah Alayh Aherar ki terhan jana chahiye kay chairag batii aur tail sab tayyar hai sirf diya silai dikhaane ki der hai. Aap ko Allah Taala ne is qader qabuliat aama aataa farmai thi kay baaz auqaat farmaya karte thay agar mein peeri mureedi karoon to kisi aur peer ko mureed muyassar nah ayen, magar mere zariye dosra kaam lagaya gaya hai aur woh hai shariat Muhammdia Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki tarweej o ashaat .

Doo darwaish daur daraaz ka safar karkay aap ki ziyarat ke liye jab khanqah puhanche to maloom howa kay Khwaja Abaid allah Rahmatullah Alayh Badshah ke paas tashreef  le gaye hain. Woh darwaish sakht heran hue kay yeh kaisay shaikh  hain jo badshah ke paas jatay hain. Kyunkay faqeer jo ameer ke darwazay par jata hai bura hai. Yeh soch kar wahan se nikal parre .

Itafaqan usi waqt Badshah ke darbaar se doo choor bhaag  gaye. Un ko talaash karte karte Badshah ke admion ne un dono ko pakar liya. Badshah ne hukum diya kay un dono ke haath kaat diye jayen. Hazrat Khwaja Rahmatullah Alayh is waqt Badshah ke paas jalwa afroz thay. Farmanay lagey kay yeh dono darwaish choor nahi balkay mujh se milnay ke liye aaye hain. Un ko chor doo. Phir aap un dono ko apne sath khanqah mein le aaye aur farmaya kay mein Badshah ke paas is liye gaya tha kay tumahray haath qata  honay se bachaoo. Agar mein wahan nah hota to tumahray haath qata ho chuke hote. Aur tumahray dil mein jo khayaal aaya kay faqeer jo ameer ke darwazay par jata hai bura hai. Agar mein tama duniya ke wastay wahan jata to ghalat tha. Yeh sun kar dono darwaish sharmsaar hue aur qadmon mein gir gaye .

Hazrat Aherar Rahmatullah Alayh ke murideen o matqdeen mein jahan darwaish, nazar atay hain wahan bari tadaad mein umraa aur walii bhi ba adab kharray nazar atay hain .

29 Rabiey al-awwal 895 Hijri ko jab aap ka nafs shareef munqita honay laga tu makaan mein bohat si shamay roshan kee giyn jin se woh makaan nihayat rashan ho gaya. Is isna mein aap ke dono abroon ke darmiyan chamakti hui bijli ki terhan noor namodaar howa jis ki shua ne tamam shamon ke noor ko maat kar diya. Tamam hazreen ne is noor ka mushahida kya isi douran aap ki rooh qafas e ensri  se parwaaz kar gayi. Anaa lillah wana ilaihi rajiun. Koocha Malayan Samerqand mein aap ki aakhri aaraam gha hai .